subah subah ki vela kitna man ko lubhati hai ,chiriyo ki chahchahahat ,naye khile phoolo ki khushboo vatavaran me char chand laga deti hai phir door se mandiro ki ghantiya ki madhur aawaaz ke sath palo ko aur sunder bana deti hai aur ishwar ki aaradhana ki aarti shrru ho jati hai .aur sarvashaktiman ki aur sir swat hi jhuk jata hai aur muh se swat hi shabd nikal jate hai wah malik tere ko koti koti dhanyawad ki aapne hame is duniya me bheja aur ham kudrat ke banaye is srashti ki achhi tarah nihar sake .wah malik wah .