Wednesday, September 23, 2015

kudrat

ishwar ki yah banai duniya atyant khubsurat aur manmohak hai jise dekhne ko ji hamesha utawala rahta hai jidhar bhi nigaye dalte hai man gadgad ho jata hai ki ishwar ne hamko itne khubsurat jahan me insaan bana kar bhej diya ,iske liye jitni baar uske aage sar jhukaye kam parta hai ,subah neend khulte hi chiryao ki sunder aawaaz ,koyal ki ku ku man aur kano me adbud jhankar karti hai .
charo taraf haryali aur vibin prakar ke phool unke rang aur khushboo man to jjanat ki aur le jate hai ,dil nahi chahta ki yah isthan vyakti jaldi chhore ,ghanto is vatavaran me bethne aur kidrat ki is adbud rachnao ko dekhte rahne ko ji karta hai aur muh se swar nikal parta hai waah MALIK tumko koti koti dhanyawaad.
sham ko nandi kinare beth kar kal kal ki aawaaz ko ham kaise bhula sakte hai ,barsaat ki rim jhim ladi hriday jo jhankor deti hai ,tab charo aur haryali chha jati hai man nachne ko ji karta hai aur pawo me swat thirkan aa jati hai aur dil gadgad ho jata hai bhala koun is mahool ko chhorna chayega .
kash yah sama hamesha hamare nazdeek rahe ,par duniya me sab kuchh yahi to nahi ,ishwar ne hame ek pet bhi diya hai jise bharne ke liye hame roti ki aawshyakata hoti hai ,aur iske liye rupaye kamane ke liyew sab jagah ghumna parta hai tab jakar hame rotu naseeb hoti hai ,wah re mali tumhari kaynaat wah re ye nazare ,

No comments:

Post a Comment